Gifts

Tuesday, 25 February 2020

Jurm (1990) - Jab Koi Baat Bigad Jaaye

Jab koi baat bigad jaaye
Jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera 
O humnawaa
Naa koi hai, na koi tha 
Zindagi mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaa...

Ho chaandni jab tak raat 
Deta hai har koi saath
Tum magar andheron mein 
Na chhodna mera haath

Wafadaari ki vo rasmein 
Nibhayenge hum tum kasmein
Ek bhi saans zindagi ki 
Jab tak ho apne bas mein

Dil ko mere hua yakeen 
Hum pehle bhi mile kahin
Silsila ye sadiyon ka 
Koi aaj ki baat nahin
Jab koi baat bigad jaaye...


Movie- Jurm (1990)
Song Title- Jab Koi Baat Bigad Jaaye
Written By- Indeevar
Music- Rajesh Roshan
Singers- Kumar Sanu, Sadhana Sargam
Actors- Vinod Khanna, Meenakshi Sheshadri

Dil Apna Aur Preet Parai - Ajeeb Daastaan Hai Yeh



Ajeeb daastaan hai yeh
Kahan shuru kahan khatam?
Yeh manzilein hain kaun si?
Na woh samajh sake na hum
Ajeeb daastaan hai yeh...

Yeh roshni ke saath kyun
Dhuan utha chiraag se?
Yeh khuwab dekhti hoon main
Ke jag padi hoon khwaab se

Mubaarakein tumhe ke tum
Kisi ke noor ho gaye
Kisi ke itne paas ho
Ke sab se door ho gaye

Kisi ka pyaar leke tum
Naya jahan basaoge
Yeh shaam jab bhi aayegi
Tum humko yaad aaoge
Ajeeb daastaan hai yeh...



Movie- Dil Apna Aur Preet Parai (1960)
Song Title- Ajeeb Daastaan Hai Yeh
Written By- Shailendra
Music- Shankar-Jaikishan
Singers- Lata Mangeshkar
Actors- Raaj Kumar, Meena Kumari

Aashiqui (1990) - Dil ka Aalam



Dil ka aalam main kya bataun tujhe
Ek chehre ne bahut
Pyar se dekha mujhe

Woh mere saamne baithi hai magar
Usse kuch baat na ho paayi hai
Main ishaara bhi agar karta hoon
Is mein hum dono ki ruswai hai

Dil ka aalam main kya bataun tujhe...

Woh toh honthon se kuch bhi kehti nahi
Uski aankhon mein ek kahani hai
Us kahani mein naam hai mera
Mujh pe kudrat ki meharbaani hai

Dil ka aalam main kya bataun tujhe...


Movie- Aashiqui (1990)
Song Title- Dil ka Aalam
Written By- Madan Pal
Music- Nadeem- Shravan
Singers- Kumar Sanu
Actors- Rahul Roy, Anu Aggarwal

Jo Jeeta Wohi Sikandar - Pehla Nasha, Pehla Khumar


Chahe tum kuch na kaho
Maine sun liya
Ke saathi pyaar ka mujhe chun liya 
Chun liya... Maine Sun liya 

Pehla Nasha, Pehla Khumar

Naya pyar hai naya intezaar 
Kar loon main kya apna haal 
Aye dil-e-bekarar 
Mere dil-e-bekarar 
Tu hi bata... 

Pehla Nasha, Pehla Khumar

Udta hi phirun in hawaon mein kahin
Ya main jhul jaun in ghataon mein kahin 
Ek kar doon asmaan aur zameen 
Kaho yaaron kya karoon kya nahin 

Pehla nasha, Pehla khumar...

Usne baat ki kuch aise dhang se
Sapne de gaya woh hazaron rang ke 
Reh jaun jaise main haar ke 
Aur chume woh mujhe pyar se 

Pehla nasha, Pehla khumar...



Movie- Jo Jeeta Wohi Sikandar (1992)
Song Title- Pehla Nasha
Written By- Majrooh Sultanpuri
Music- Jatin- Lalit
Singers- Udit Narayan, Sadhana Sargam
Actors- Aamir Khan, Ayesha Julka

Qayamat Se Qayamat Tak - Ae Mere Humsafar Ek Zara Intezaar


Ae mere humsafar ek Zara intezaar
Sun sadayein de rahi hai manzil pyar ki

Ab hai judaai ka mausam, 
Do pal ka mehmaan
Kaise na jayega andhera,
Kyun na thamega toofan
Kaise na milegi manzil pyar ki

Ae mere humsafar ek Zara intezaar...

Pyar ne jahan pe rakha hai,
Jhoom ke kadam ek baar
Wahin se khula hai koi rasta,
Wahin se giri hai deewaar
Roke kab ruki hai manzil pyar ki

Ae mere humsafar ek Zara intezaar...




Movie- Qayamat Se Qayamat Tak (1988)
Song Title- Ae Mere Humsafar Ek Zara Intezaar
Written By- Majrooh Sultanpuri
Music- Anand-Milind
Singers- Udit Narayan, Alka Yagnik
Actors- Aamir Khan, Juhi Chawla

Thursday, 19 September 2019

Bengali - Jokhon nirobe dure Darao eshe


Jokhon nirobe dure 
Darao eshe
Jekhane path bekechhe
Tomay chhute chaoar muhurtora
Ke jane, 
Ki abeshe dishahara

Ami-o chhute jai se gobhire
Ami-o dheye jai ki nibire
Tumi ki morichika na dhrubotara
Tomay chhute chaoar muhurtora
Ke jane, ki abeshe dishahara

Jokhon roderi kona
Dhaneri shishe 
bichhiye dei roddur
Tomay chhute chaoar muhurtora
Ke jane, 
Ki abeshe dishahara

Ami-o chhute jai se digonte
Ami-o dheye jai ki anonde
Tumi ki bhule jaoa kobita-ra
Tomay chhute chaoar muhurtora
Ke jane, 
Ki abeshe dishahara
Ke jane, 
Ki abeshe dishahara
la la la la…

Friday, 28 September 2018

Asoka - San Sanana


San sanana na sanana nan
San sanana na na sanana nan

San sanana na na san sanana nan
Ja ja ri ja ri ja ri ja ri pawan
Mere jaisa dhoondh ke la mera sajan

San sanana na na san sanana nan
Ja ja ri ja ri ja ri ja ri pawan
Aisa kahin koyi nahin
Aisa ho to shayad main kar loon milan
Ja ja.. ja ri pawan, ja ri pawan
San sanana na na san sanana nan
Ja ja ri ja ri ja ri ja ri pawan

Akash hai koi prem kavi
Main uski likhi kavita
Mere jaisa koi nahin
Aya jag mein yug beeta
Chhoo na sake koi mujhe
Chhoo le to haaye lag jaaye agan
Ja ja.. ja ri pawan, ja ri pawan
San sanana na na san sanana nan
Ja ja ri ja ri ja ri ja ri pawan

Main aap hi apni premika
Main aap hi apni saheli haan
Aur nahin koi apne jaisi
Bas main ek akeli
Main aaoon to, main jaaoon to
Mujhko dekhe jhuk ke gagan
Ja ja.. ja ri pawan, ja ri pawan