Ek ghar banaunga, tere ghar ke samne
Duniyaa banaunga, tere ghar ke samne
Ghar kaa banana, koi asaan kaam nahin
Duniyaa basaanaa koi asaan kaam nahin
Dil mein wafayein ho to, tufan kinara hain
Bijli humaare liye, pyaar ka ishara hain
Tan man lutangaa, tere ghar ke samne
Kehte hain pyaar jise, dariya hain aag ka
Yaa fir nasha hain koi, jeewan ke raag ka
Dil mein jo pyaar ho to, aag bhi phool hain
Sachchi lagan jo ho to, parbat bhi dhul hain
Taare sajaunga, tere ghar ke samne
Katon bhare hain lekin chahat ke raste
Tum kya karoge dekhe, ulfat ke waste
Ulfat mein taaj chhute, ye bhi tumhe yaad hoga
Ulfat mein taaj bane, ye bhi tumhe yaad hoga

