Kise puchoon?
Hai aisa kyun?
Bezubaan sa ye jahan hai
Khushi ke pal
Kahan dhoondoon?
Benishaan sa waqt bhi yahan hai
Jaane kitne labon pe gile hain
Zindagi se kai faasle hain
Paseejte hai sapne kyun ankhon mein
Lakiren jab chhute in haathon se yun bewajah
Jo bheji thi dua
Woh jake asmaan se yun takra gayi
Ki aa gayi hai laut ke sada
Sanson ne kahan rukh mod liya
Koi raah nazar mein na aye
Dhadkan ne kahan dil chhod diya
Kahan chhode in jismon ne saye
Yehi baar baar sochta hoon tanha main yahan
Mere saath-saath chal raha hai yaadon ka dhuaan
Jo bheji thi duaa
Woh jake asmaan se yun takra gayi
Ki aa gayi hai laut ke sada

No comments:
Post a Comment