Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Pyaar mein dube huye khat main jalata kaise
Tere haathon ke likhe khat main jalata kaise
Jinko duniya ki nigahon se chhupaye rakha
Jinko ik umr kaleje se lagaye rakha
Din jinko jine imaan banaye rakha
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Jinka har lafz mujhe yaad tha paani ki tarah
Yaad the mujhako jo paigaamein jubaani ki tarah
Mujhko pyaare the jo anmol nishani ki tarah
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Tune duniya ki nigaahon se jo bachkar likhe
Saal ha saal mere naam barabar likhe
Kabhi din mein toh kabhi raat ko uthkar likhe
Tere khushboo mein base khat main jalata kaise
Pyaar mein dube huye khat main jalata kaise
Tere haathon ke likhe khat main jalata kaise
Tere khat aaj main ganga mein baha aaya hoon

Aag behte huye paani mein laga aaya hoon