Koi ye kaise bataaye ke wo tanaha kyon hai
Wo jo apana tha, wahi aur kisi ka kyon hai
Yahi duniya hai to fir, aisi ye duniya kyon hai
Yahi hota hai to, akhir yahi hota kyon hai?
Ek zara haath bada de to, pakad le daaman
Us ke seene mein sama jaye, hamari dhadkan
Itni kurbat hai to fir faasla itna kyon hai?
Dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi
Ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi
Aas jo tut gayi hai fir se bandhata kyon hai?
Tum masarrat ka kaho ya ise gam ka rishta
Kahte hai pyaar ka rishta hai janam ka rishta
Hai janam ka jo ye rishta to badalta kyon hai?

No comments:
Post a Comment