Gifts

Thursday, 26 July 2018

Jagjit Singh - Aankhon Mein Jal Raha Hai Kyon


Ankhon men jal raha hai kyon bujhta nahin dhuan 
Uthta to hai ghata sa barasta nahin dhuan 

Chulhen nahin jalaye ya basti hi jal gayi 
Kuchh roj ho gaye hain ab uthta nahin dhuan 

Ankhon ke pochhne se laga anch ka pata 
Yun chehra pher lene se chhupta nahin dhuan 

Ankho se ansuon ke marasim purane hain 
Mehmaan yeh ghar mein aye to, chubhta nahin dhuan 



  • Marasim - customs, rules, relations, connection

No comments:

Post a Comment