Kisi baat par main kisi se khafa hoon
Main zinda hoon par zindagi se khafa hu
Khafa hoon, khafa hoon, khafa hoon.......
Mujhe doston se shikayat hain shayad
Mujhe dushmano se mohobbat hain shayad
Main iss dosti dushmani se khafa hoon
Khafa hoon, khafa hoon, khafa hoon.......
Na janey kaha kab kise dekhta hoon
Magar main jaha jab jise dekhta hoon
Samajhata hain woh main usi se khafa hoon
Khafa hoon, khafa hoon, khafa hoon.......
Na jaga hua hoon na soya huwa hoon
Main dil ke andhero mein khoya hoon
Kisi chand ki chandani se khafa hoon
Khafa hoon, khafa hoon, khafa hoon......
