Ek pyaar ka naghama hai,
Maujon ki ravani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin,
Teri meri kahaani hai.
Kuch pakar khona hai,
Kuch khokar pana hai
Jeevan ka matlab to,
Aana aur jana hai
Do pal ke jeevan se,
Ek umr churani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin,
Teri meri kahani hai
Ek pyaar ka naghama hai
Tu dhaar hai nadiyaa ki,
Main tera kinara hoon
Tu mera sahara hai,
Main tera sahara hoon
Aankhon men samandar hai,
Ashaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin,
Teri meri kahani hai
Ek pyaar kaa naghama hai
Toofaan to ana hai,
Akar chale jana hai
Baadal hai ye kuchh pal kaa,
Chhaakar dhal jaanaa hai
Parachhaainyaan rah jaatin,
Rah jati nishani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin,
Teri meri kahani hai
Ek pyaar kaa naghama hai

No comments:
Post a Comment