Ek roz main tadapkar,
Is dil ko thaam lunga
Mere hasin qaatil,
Main tera naam lunga
Haan tera naam lunga,
Main tera naam lunga
Tune mujhe jagaya,
Sone na dunga tujhko
Hasne na dunga tujhko,
Rone na dunga tujhko
Koi payaam lunga
Koi payaam dunga
Mere hasin qaatil,
Main tera naam lunga
Teri kasam na kuch bhi
Tujhse chhupaunga main
Har baat apne dil ki
Tujhko sunaunga main
Lekin zubaan ke badle,
Aankhon se kaam lunga
Mere hasin qaatil,
Main tera naam lunga
Haasil na hogi tujhko,
Aise meri mohobbat
Chaahat ki yaar tujhko,
Deni padegi keemat
Saudaa na muft hoga,
Main dil ke daam lunga
Mere hasin qaatil,
Main tera naam lunga

No comments:
Post a Comment