Ek akela iss shahar mein,
Raat mein aur dopahar mein
Aabodana dhundta hai
Aashiyana dhundta hai
Din khali khali bartan hai
Aur raat hai jaise andha kuan
Inn suni andheri aankho se
Aansun ki jagah aata hain dhuan
Jeene ki wajah toh koyi nahi marne kaa bahana dhundta hai
Ek akela iss shahar mein
Inn umr se lambi sadkon ko
Manjil pe pohonchte dekha nahi
Bas daudtee phirti rahti hain
Humne toh theherte dekha nahi
Iss ajnabi se shahar mein jana pehechana dhundta hai
Ek akela iss shahar mein

No comments:
Post a Comment